man mujhe lori suna lori jo tera farz hai aur bis barson se tere honton pe mera farz hai bis barson se main sukh ki nind so paya nahin mere zakhmida papoton ko kisi lamhe ne sahlaya nahin mere chaaron samt thahri raat jalti jang ke maidan mein lashon pate khaliyan hain raston bhare sare nagar viran hain aur main kisi turbat ka patthar maut ki gungi gawahi haar ki dahshat se ghabraya hua tanha sipahi us tabahi ke sirhane sar-nigun nauha-ba-lab neza-ba-kaf man ye miras-e-tamasha dubti aahon karahon ka ye shor-e-be-tahasha tutti sanson ki jhankaren pukaren lasha lasha kya mere hone ki taziron mein hain kya mere ajdad ki qabren bhi zanjiron mein hain man agar aisa nahin to phir ye tanhai ki be-khwabi meri taqdir ki mitti pe kyun gidh ki tarah baithi hui hai aur aakhir kyun falak ki gol pili aankh ne chaaron taraf aabaadiyon ko ghar mein kafna diya hai man zaminen kyun khalaon ke kafan odhe hue hain kis liye matam mein dube shahr sar jode hue hain mere andar aur bahar ki zamin par bazuon tangon saron chehron labon ke an-ginat ambar hain aur do aankhen meri in sab ki pahre-dar hain aankhen jo ab be-khwabon ki ret se bhar jaengi aankhen jo ab mar jaengi