jahan pahonche hindostani wahan pahunchi zaban urdu murkkab har zaban se ban gai shirin zaban urdu nikal kar hind se pahunchi ye america aur africa samajh lete hain har mulkon ke bashinde zaban urdu gai ye chin-o-japan aur gai europe ke mulkon mein raha jo chand din hind mein hui us ki zaban urdu samundar par ho kar ye gai sahra-nashinon mein hamari hai bahut aasan aur shirin zaban urdu na puchho us ki wusat ko kahan se hai kahan pahunchi taraqqi khud-bakhud ye karne wali hai zaban urdu pali hai pyar-o-ulfat mein ye hindu aur musalman ke to phir kyun khar ho nazron mein ye pyari zaban urdu mitana chahiye us ko na nafrat aur ghaflat se nishani ulfat-o-millat ki hai be-shak zaban urdu