mammy khafa hain un ki sunta nahin hai montu papa ko hai shikayat padhta nahin hai montu aur montu miyan ab hairan se khade hain sun sun ke dant un ke to kan pak gae hain ho phantom ki tan tan ya tarzan ke qisse kya kya nahin padha hai kya kya nahin wo padhte aur is pe ye shikayat padhta nahin hai kuchh bhi padhna nahin to kya hai had hai zyaadti ki kam aae hain jo number aisa bhi kya hua hai har bar aao awwal ye kis jagah likha hai apni taraf se parcha likha tha thik yun to examiner se shayad kuchh bhul ho gai ho itna bhi kya bigadna kya fail ho gae hain is imtihan se aage sau imtihan pade hain kya montu miyan hain sab log dekh lenge har imtihan mein awwal ab aa ke hum rahenge mammy saheliyon mein bantengi tab mithai jo aaj dantte hain denge wo kal badhai khush ho ke ek ek se kahte phirenge papa ye apna montu to lakhon mein ek nikla