namak ke sahra mein apni palkon se tukde tukde ye khwab chun lun to tujh ko dekhun shikasta-hathon se hasraton ke azab chun lun to tujh ko dekhun jo tujh ko dekhun to jaan paun ki is saf-e-dostan mein tera maqam kya hai naqib-e-jaan tu kahan khada hai wo saf ki jis ne mohabbaton ke gulab pahne azim chahat ke surkh lamhon ki hiddaton se badan sajae faqat tera jism hi nahin jalwa-zan meri jaan balki sara jahan khada hai