taam-gahon ki bachi-khuchi ghiza pe pal raha tha nam-zada shagafon ghun lage daraazon mein chhupa hua wo mutmain tha ghair-mari naliyon se main hol tak ghalazaten baha ke lane wali sust o tez sari linon mein ghumta tha ek roz hast ki girah mein us ki lanbi tang ek anokhe pech mein ulajh gai to tis dard ki uthi wajud phadphada gaya jhatak ke tang pech se nikal li to ek dam use laga ki us ki dastaras mein par bhi hain ajib saniya tha paniyon ki haul-nak bu mein kich ki umas mein donon waqt mil rahe the haala-e-nafas mein dhire dhire us ke sandalin sunahri par bhi hil rahe the! lal bag jo shurua din se maut aur zindagi safai aur gandagi nikasi-e-wajud khair o shar rawani o jumud ke muamalat mein ghira hua tha khak-rubon, mehtaron ke sath kaenati moriyon zamani bad-ruon mein rahte rahte tang aa gaya tha raste ke bich hi se mud gaya achanak ek roz lal bag ud gaya!!