ye masdar ism-e-mazi ka nahin hai aap kahiye to bata dete hain hone ko jo yun hota to kya hota na hota gar juda tan se to zanu par dhara hota wo tum se ibn-e-muljim ka pata puchhen to kahna chaar hafton se bahut masruf hai roti nahin khai saron ki fasl bar-e-khushk-sali se garan hai log masjid bhi nahin jate main us ko masjid-e-zarrar ke bahar milunga wo ghodon ki tarah the farba-andami pe mail sath wali khidkiyon par hinhinate the ab un ke nal thonki ja rahi hai mera ghar jaana zaruri hai ki aise mein hamesha chhuttiyon ka kal hota hai chalo ghar ki taraf chalte hain bahar barf-bari hai main tum par nazm likhunga mohabbat ladkiyon ko astabal mein chhod aati hai main tum ko beach khidki mein bitha kar nazm likhunga tumhein aata to hoga darmiyan se lautna main lautne par nazm likhunga ye masdar ism mazi ka nahin hai tum jo kah do to bula lete hain ghar se ibn-e-muljim ko mujhe apni zamin astabal ki qist deni hai use bhi koi surat chahiye ghar se nikalne ki