lalach ka phal

ek muflis ke chaar the bachche
dal aur roti jau khate the

khate usi ko samajh ke neamat
lab pe na late koi shikayat

lekin un mein ek ladka tha
us ko na bhaya aisa khana

ek ladke ka dost bana wo
daulat-mand bahut kuchh tha wo

us ke ghar ko aata jata
umda umda khane khata

lekin apne dost se us ki
ek din ho gai an-ban koi

dost ne itna mara pita
dant gire khun munh se nikla

us dam us ko hosh ye aaya
hirs ka ye inam hai paya

apne hathon khoi izzat
aur uthai aisi zillat

sach hai buzurgon ka ye kahna
lalach se tum dur hi rahna

mile jo dal aur roti khao
shikwa lab pe na 'jauhar' lao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close