lamha-e-maujud se mukalima main ye bola guzarte lamhe se dam to le yar aisi jaldi kya do ghadi pas baith baat to kar lamha bola main ruk nahin sakta kyunki ek mustaqil safar hun main mujh ko lamhe se sadi banna hai ruk gae hote gar qadam mere irtiqa-e-insani thahar gaya hota aap patthar ke daur mein the jahan jangalon ki jhadi mein gahre andhe ghaaron mein aaj bhi pade hote