zara mohlat to de mujh ko basa lun in nigahon mein wo chehra jo mah-e-kaamil sa raushan hai wo chehra jis ne virane mein dil ke khilae hain mohabbat ke gulistan wo chehra jis ke dam se abhi tak hun main zinda zara mohlat to de mujh ko main un zulfon ki khushbu ko chura kar mast aanchal se hawa ke main apni ruh ko kar lun moattar zara mohlat to de mujh ko main le kar raushni ki chand kirnen un nigahon se andhere dur kar lun apne dil ke use phir samne pa kar talab kar lun ijazat rukhsati ki zara mohlat to de mujh ko ukhadti sans meri