ye us lamhe ki baat hai jab aankh jhapakne se dar lagta aur is dar mein lipti hui adhura hone ki khwahish tahalte tahalte jhut ki us diwar ke pas pahunch jati jis ki buniyaadon mein nauzaida sach dafn the tab main khamoshi ke chatiyal maidan mein tan ke khada ho jata aur anjaani manzilon se aati hui hawa lafzon ke pairahan se ek ek kar ke sab rang utarna shurua kar deti aur tum mujhe apni taraf dekhta dekh kar rona shurua kar deti aur mujhe aankh khulne se dar lagne lagta aur is dar mein lipti hui mukammal hone ki khwahish tumhaari aawaz mein shamil ho jati jo sargoshiyan ban kar mere baalon mein ungliyan pherti aur main tumhein chup karaate karaate diwar ki buniyaad mein utar jata