ye un dinon ki baat hai jab ghar ke ek kamre mein dukh aur malal mandli saja ke baitha karte aur masrufiyat bahane bahane se wahan tak-jhank karti dusre kamre mein dilon mein naqab lagane ke sab mansube aapas mein baith kar tash khela karte aur main har thodi der ba'd tumhaari aadaten dhundne store ke chakkar katta rahta nind khuntiyon par tangi rahti aur shadid garmi mein bhi tumhaari yaad odh ke letna padta bahar gali mein khelti hui khushiyon ka shor us waqt aur bhi bura lagta jab koi aarzu diwar phalang kar sahn mein aa girti aur main sone ki adakari karte karte sach-much so jata