na rowo jabr ka aadi hun mujh pe rahm karo tumhein qasam meri warafta zindagi ki qasam na rowo baal bikhero na tum khuda ke liye andheri raat mein jugnu ki raushni ki qasam main kah raha hun na rowo ki mujh ko hosh nahin yahi to khauf hai aansu mujhe baha denge main jaanta hun ki ye sail bhi sharare hain meri hayat ki har aarzu jala denge na itna rowo ye qindil bujh na jae kahin ise khud apna lahu de ke main jalata hun jo hum ne mil ke uthae the wo mahal baithe ab apne hath se mitti ka ghar banata hun tumhaare waste shabnam nichod sakta hun zar o jawahir o gauhar kahan se laun main tumhaare husn ko ashaar mein saja dunga tumhaare waste zewar kahan se laun main hasin mez subuk jam qimti fanus mujhe ye shak hai main kuchh bhi to de nahin sakta ghulam aur ye shaer ka jazba-e-azad main apne sar pe ye ehsan le nahin sakta mujhe yaqin hai tum mujh ko muaf kar dogi ki hum ne sath jalae the zindagi ke kanwal ab is ko kya karun dushman ki jit ho jae hamare sar pe baras jae yas ka baadal na rowo dekho meri sans thartharaati hai qarib aao main aansu to ponchh kar dekhun suno to soi hui zindagi bhi chikh utthe qarib aao wahi baat kan mein kah dun na rowo meri siyah-bakhtiyon pe mat rowo tumhein qasam meri aashufta-khatiri ki qasam mita do aariz-e-taban ke bad-numa dhabbe tumhaare honton pe us lams-e-akhiri ki qasam