ye jo fasl-e-furqat-e-asr hai ise kat bhi ye jo daftar-e-gham-e-zist hai ise band kar ise band kar ki wo but-farosh nahin rahe jo asir the rukh-e-dahr ke tere ru-ba-ru tere chaar su shab hast-o-bud ki rah mein tere ham-qadam tere aainon ki shikastagi ka bharam liye koi aur kab hai mere siwa koi aur kab tha mere baghair magar ai rahin-e-dam-e-alast mere waqiye ke muqaddamat se peshtar meri bandagi ko farogh de kabhi dopahar ke khumar mein kisi aks-e-mauj-e-bala mein rakh mere khak-o-khun ko nihaal kar mujhe khol taza hawa mein rakh