tum log yahan baithe ho tum log yahan is liye baithe ho ki jo tum mein se yahan nahin hai use wahan se utha diya gaya hai tum mein se koi portugal nahin gaya lekin tumhaare darmiyan mez aur kursiyan hain jo duniya tum ko dikhane ke liye kafi hai is se badh kar bhi koi dukh hoga jitna sochoge bhulte jaoge masla mausiqi ya aurten aur aab-o-hawa bachche akhbar ya ghizaon ke nam yahan tak ki nind aa jati hai ya wo ek budha jis ke panw maidanon mein chalte chalte khatm hue us ki fasl us ke purane chehre ko gali de us par phenk di gai nariyal ka bana hua huqqa bhi aur us mein jo jala hua pani hota hai wo bhi tum log us kamre mein aa gae tumhaare samne mez par ashtray mein abhi abhi jabki mulk ki ghadiyon mein raat ke 9 baj rahe hain ek cigarette ka jalta hua filter khatm ho raha hai main tum sab ke bare mein bahut kuchh kahna chahta hun kuchh bahut zaruri bhed hain lekin agar kah dun to bahut bura hoga tumhaari gardanen mujhe insani shakl mein dikhai nahin detin ye gardanen jism ka filter hain jism tafsilat mein jal gae ab filter jal rahe hain ye main nahin bataunga ki tumhein kis ne jala jala ke piya mazhab ne is jism mein tumhaare is kamre mein jaise an-ginat kamre banae aur har kamra aag jalae rakhne ki tarkib batai main tum mein se ek tha tumhaare darmiyan musibat mein khuda ka nam suna tha karodon bhikariyon ke dilon ko samet kar roti ka ek sukha tukda mangne ke liye use pukara kitabon mein sachchai ke do lafz padhne ke liye mitti ke tel ki dheriyan chaar-paiyon par ulat din meri gharibi ke yaadgar gudde aur bistar jal gae zamin par itne kankar patthar inten bajri aur baalu ke zarre bhi nahin hoge jitni meri rati hui duaen ki auraton aur jaanwaron se chhutkara mil jae baat ye ki main khul kar rona chahta tha itna ki tumhaari aabaadiyon mein bazaron ke hujum bhi nahin hoge aur ladkon ki galiyan jo nange pagalon ke pichhe daudti hain suno main use apne dhang se chahta tha itna ki ek arab nekiyon se bhare hue aspatal bhi kafi nahin are main jo khuda mangta hun wo tum dete nahin aag jalane ki tarkib to main nahin jaanta main tum se kahta hun mujhe jalao ya meri nabaatat jalao main jalunga aur jalunga kaam karunga aur kaam karunga suno kaam karne ke liye ek aisi zindagi chahiye ki main tum sab ko bila-wajh marne se rok sakun zindagi ka kaam kabhi rukta nahin har-chand ki buri bhid ke zamana mein achchhi kitaben likhne padhne ke mazbut saman nayab ho jate hain daulat bade style se ishtihaari sukun bantti hai microphone ya bap aur uniwersitiyon mein jab professor eazaz ki suliyon par khush-gawar dikhai dete hain dawaen ya maen bahnen tab bada ghalat andhera hota hai ghalat bete aur bhai jinhen bina-qimat liye agar tum chhu lo to kaghaz tumhein pakad lenge kaghaz tumhein mar dalenge yahi kaghaz jin se tumhaare liye dhoke aur mustaqbil banate hain chalo is bhid se niklo zindagi ka kaam kabhi rukta nahin pas aao main tumhaari jebon ke jhut se aaj tak dara nahin hun un mein rakhe hue paise nikal lunga paise mat chhupao pas aao ye main jaanta hun ki tumhaari biwiyan tumhaari maut ke agnet hain tumhaare bete aur bhai mujh se nafrat karte hain main tumhaare gharon ke dare hue band darwazon par dastak deta hun aur tum aur tumhaare log andar se chillate hain ki tum nahin ho main tumhein marne se kyun rokun har-chand ki rok sakta hun maut kisi ko marne ke liye aasman se nahin utarti maut is liye hai ki tum ne use aasman man liya zamin tumhein jagne ke liye di gai tum ne use mayus kiya maut zamin ki mayusi par aaj tak khush hai aur tumhaare khwabon mein chalne ki aazadi hai tambaku afim aur bhang ke paude aaj tak khush hain ki wo tumhaari mari hui maon ki mamta hain tumhaari bahut si bimariyan tumhaare jism mein bade aaram se hain aur dawa-khanon mein bahut si dawaen bhi bade aaram se hain main tumhein marne se kaise rokun han tum mujhe jine se rokte ho main tum se kahta hun ki tumhaare chhode hue maidanon ki hawaon ke jhonke jab tumhaari khidkiyon mein aa rahe hon to khidkiyan mat band karo baat ye hai ki tumhaara jama kiya hua asasa tumhaare jism ke ek mamuli roen tak ko nahin chamka sakta tumhaare jama kiye hue ghalat andheron par jab suraj chamakta hai to tum us se uktate ho tum mujhe bolne se rokte ho main kahta hun tumhaare ye makan tumhaari aane wali qabron se mukhtalif nahin tum bainal-aqwami bichchhuon se ziyaada chaalak nahin tum duniya ki badi kitabon se ziyaada gambhir nahin ho jab tak main tum se apne safar ka sara saman chhin nahin lunga tum se ikhtilaf karunga tumhein marne se rokunga