eid ki achkan

sajti thi kabhi tan pe jo thi eid ki achkan
sajte the kabhi ham, to kabhi eid ki achkan

sau sau tarah parwan chadhi eid ki achkan
ab itne ghate hum ki badhi eid ki achkan

achkan nahin is waqt aba aur qaba hai
ya koi do-shaala hai jo khunti pe tanga hai

is eid ki achkan ne machai thi badi dhum
jab is ko pahante to chamak uthta tha maqsum

jate jo kahin dur se ho jata tha malum
hum is mein nazar aate the jaise ki hon masum

is eid ki achkan mein bade lal jade the
eidi bhi hamein dete the jau hum se bade the

us ahd mein ye eid ki achkan thi banai
jis ahd mein hum khate the baba ki kamai

dete na the aflas ki us waqt duhai
mil jati thi jis shai ki zarurat nazar aai

har baat pe jab ruth ke hansne ka maza tha
tab eid ki achkan ke pahanne ka maza tha

is eid ki achkan ko pahan lete the jab hum
aati thi nazar hech hamein saltanat-e-jam

jis ne mujhe dekha wo yahi kahta tha har dam
jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka aalam

main mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha
main bhi gham-e-duniya ka shanawar na hua tha

is eid ki achkan ne gale un se milaya
ghabraata tha pas aane se jin logon ka saya

kis kis ke na jaane but-e-pindar ko dhaya
jab eid ka din aaya to phir dil ko sajaya

achkan nahin mazi ka sunahra sa waraq hai
hum badle par achkan nahin badli ye qalaq hai

ai 'jafari' achkan ko na latka mere aage
juz wahm nahin hasti-e-ashiya mere aage

wo dhup dhali rah gaya saya mere aage
ab qissa-e-mazi ko na dohra mere aage

kaam aai ye achkan na gharib-ul-watani mein
har-chand subuk-dast hue but-shikani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close