lao hath apna lao zara chhu ke mera badan apne bachche ke dil ka dhdakna suno naf ke us taraf us ki jumbish ko mahsus karte ho tum bas yahin chhod do thodi der aur us hath ko mere thande badan par yahin chhod do mere be-kal nafas ko qarar aa gaya mere isa mere dard ke chaaragar mera har mu-e-tan us hatheli se taskin pane laga us hatheli ke niche mera lal karwat si lene laga ungliyon se badan us ka pahchan lo tum use jaan lo chumne do mujhe apni ye ungliyan un ki har por ko chumne do mujhe nakhunon ko labon se laga lun zara phul lati hui ye hari ungliyan meri aankhon se aansu ubalte hue un se sinchungi mein phul lati hui ungliyon ki jaden chumne do mujhe apne baal apne mathe ka chand apne lab ye chamakti hui kali aankhen mere kanpte hont meri chhalakti hui aankh ko dekh kar kitni hairan hain tum ko malum kya tum ko malum kya tum ne jaane mujhe kya se kya kar diya mere andar andhere ka aaseb tha ya karan ta karan ek anmit khala yunhi phirti thi main zist ke zaiqe ko tarasti hui dil mein aansu bhare sab pe hansti hui tum ne andar mera is tarah bhar diya phutti hai mere jism se raushni sab muqaddas kitaben jo nazil huin sab payambar jo ab tak utare gae sab farishte ki hain baadalon se pare rang sangit sar phul kaliyan shajar subh-dam ped ki jhumti daliyan un ke mafhum jo bhi batae gae khak par basne wale bashar ko masarrat ke jitne bhi naghme sunae gae sab rishi sab muni ambiya auliya khair ke dewta husn neki khuda aaj sab par mujhe e'tibar aa gaya e'tibar aa gaya come, give me your hand