sansanahaton ke sath gadgadahaton ke sath aa gaya! pawan-rath pe baith kar mera megh dewta dosh par hawaon ke baal udata hua us ka jamuni badan aasman pe chha gaya dur tak garaj hui zamin dahalne lagi aasman simat gaya badi ghan-garaj ke sath tut kar baras pada aur main aankh mund kar hath pasare hue daudti chali gai ang se laga rahi nil us ke ang ka main ki bint-e-jijr hun mujh mein aisi pyas hai main ki mere waste wasl bhi firaq hai mujh mein aisi aag hai megh-ras mein bhig kar hanpti khadi khadi kah raha hai dil mera yahi hai madhur milan ki ghadi