kal hamesha ki tarah us ne kaha ye phone par main bahut masruf hun mujh ko bahut se kaam hain is liye tum aao milne main to aa sakti nahin har riwayat tod kar is bar main ne kah diya tum jo ho masruf to main bhi bahut masruf hun tum jo ho mashhur to main bhi bahut maruf hun tum agar ghamgin ho main bhi bahut ranjur hun tum thakan se chur to main bhi thakan se chur hun jaan-e-man hai waqt mera bhi bahut hi qimti kuchh purane doston ne milne aana hai abhi main bhi ab farigh nahin mujh ko bhi lakhon kaam hain warna kahne ko to sab lamhe tumhaare nam hain meri aankhen bhi bahut bojhal hain sona hai mujhe ratjagon ke baad ab nindon mein khona hai mujhe main lahu apni anaon ka baha sakta nahin tum nahin aatin to milne main bhi aa sakta nahin us ko ye kah ke 'wasi' main ne receiwer rakh diya aur phir apni ana ke panw pe sar rakh diya