bani-adam tumhein kuchh yaad bhi hai jab tumhein raushan nishani di gai thi ghamandi tirgi ko jab guphaon mein jala kar margh-zaron ko bahaaron se sajaya ja raha tha tum apne sath ek raushan nishani aur guphaon ki wirasat le ke aae the tumhaare sath thode sanp bhi the jinhon ne apne wirse ko guphaon se mahakte margh-zaron tak zaminon se samundar tak hawaon se khalaon tak sanbhaala hai tumhein malum hai kya tumhaare pas to bas ek izn-e-raushni hai aur un ke pas hai ek sarmadi nuskha guphaon ki wirasat ka tumhaari sab mata-e-din-o-danish aql-o-azadi ka wirsa un ke wirse ke muqabil kuchh nahin kuchh bhi nahin aur jo tumhaare pas hai wo bhi unhi ki dastaras mein hai tumhaara kuchh nahin kuchh bhi nahin tumhaari sab mata-e-be-baha phir se guphaon ki amanat ho gai hai aur wo sanp us ke pahre-dar