hum parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge asbab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge virani-e-dauran pe karam karte rahenge han talkhi-e-ayyam abhi aur badhegi han ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge manzur ye talkhi ye sitam hum ko gawara dam hai to mudawa-e-alam karte rahenge mai-khana salamat hai to hum surkhi-mai se tazin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge ek tarz-e-taghaful hai so wo un ko mubarak ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge