aasman aaj ek bahr-e-pur-shor hai jis mein har-su rawan baadalon ke jahaz un ke arshe pe kirnon ke mastul hain baadbanon ki pahne hue farghalen nil mein gumbadon ke jazire kai ek bazi mein masruf hai har koi wo ababil koi nahati hui koi chil ghote mein jati hui koi taqat nahin is mein zor-azma koi beda nahin hai kisi mulk ka is ki tah mein koi aabdozen nahin koi rocket nahin koi topen nahin yun to sare anasir hain yan zor mein amn kitna hai is bahr-e-pur-shor mein