darakhton se patton ke jhadne ka mausam bhi hai aur tumhaari 'kanwal' bagh ke ek kinare pe bikhre hue sukhte tutte zard patton pe chalte hue nazm ek mukhtasar likh rahi hai tumhaare liye us ki aankhon se be-rang bahte hue ashk jo lal hone ko the hijr ka zahr pite hue kasni ho gae apni zakhmi si poron se chun kar unhen likh rahi hai koi nazm ek mukhtasar jis ka unwan hai laut aao suno ki darakhton se patton ke jhadne ka mausam bhi ab ja raha hai bahaaron ki rah dekhte aur tumhaari 'kanwal' patti patti bikharte hue raste se yun lag kar badi der se rasta dekhte ab bahut thak gai laut aao suno