tum kahoge din to main bhi din kahunga ho bala se raat aadhi main kahunga raat tum suraj chamakta ho to us ko chand samjhoge tumhaari aankh mein aansu nazar aaenge jab main taziyat ke reshmi rumal se puchhunga un ko muskuraun main to tum is ko gul-afshani kahoge aur dhoke se kahin main shab ko shab kah dun kahin tum din ko din kah kar mujhe suraj dikha do nazar aae agar mujh ko tumhaari aankh ke aansu magarmachh ke se aansu mere hansne ke pichhe jhankti mahrumiyan tum ko nazar aa jaen to samjho ki hum ek dusre ke jism mein poshida shaitanon se waqif ho gae hain rawanon mein sulh-jui ke liye behad zaruri chiz hai, laxman ki rekha