tum ne ghaur se dekha tum jahan pe ho is waqt kal wahan pe ek ladki be-tahasha hairat se tum ko apni aankhon mein ghunt ghunt chunti thi tum jo sar jhuka kar yun be-khabar se baithe the jaante nahin ho na waqt ki nai dhun par nazm ho rahe the tum kya tumhaare chehre par apni khali aankhon se koi nazm likkhega kya khabar ye hai tum ko jab na aur kuchh sujhe tum nazar churane ko apna sail uthate ho us ghadi mein bhi tum ne jhilmilati aankhon se phir nazar churane ko apna sail uthaya hai be-panah mohabbat ke kapkapate hathon ki sari uljhi rekhaen tum ne dekh li thin na phir usi jagah tum ko kya mila koi aisa jis ke hath par tum ne apna hath rakkha to us ki ruh tak kanpi jab kisi ki chhanw mein tez dhup jaisi ek dopahar mayassar ho us samay mein kya tum ne khud ko us ki aankhon ke dasht se guzara hai kya kisi ne bhi ab tak tum ko apni sanson se jism mein utara hai dekh kar batao na jis jagah pe baithe ho hai wahan koi aisa hai koi mere jaisa