apni manzil pana hai hum ko aage jaana hai rasta hai pur-khar to kya chalna hai dushwar to kya aage hai diwar to kya diwaron ko dhana hai hum ko aage jaana hai apni manzil pana hai ilm se allah aur nabi ilm se apni ye hasti ilm se din aur duniya bhi din aur duniya pana hai hum ko aage jaana hai apni manzil pana hai amn se hum hain aur tum bhi amn hai raunaq duniya ki amn se duniya hai baqi duniya ko samjhana hai hum ko aage jaana hai apni manzil pana hai dars hai ye har-chand adaq kyun ho is ka hamein qalaq mazi se ab le ke sabaq mustaqbil chamkana hai hum ko aage jaana hai apni manzil pana hai