dhund By Nazm << ham-zad layal-pur >> wahm ke is jangal se bahar jaane ko kabhi kabhi ek rah nazar to aati hai badhta bhi hun us jaanib thoda sa magar shak ki dhund se ainak ke shishe dhundle ho jate hain sab raste kho jate hain Share on: