ab khuda ko bhi zara aaram karna chahiye ek zamane se musalsal kar raha hai tin shiften aur duniya-bhar ke tyauhaaron pe bhi mil nahin pai kabhi rukhsat use hafta-wari yani wo jo the and pe ek chhutti sari duniya mein hi di jati hai ab us ki wo chhutti azal se band hai sainkadon bimariyon mein kaam karte hi use paya hai main ne na to beta hai kisi ka aur na bap koi risht-e-dar bhi us ka nahin lowe-affair ya kisi shadi ka koi zikr bhi aaya nahin phir bhi us ko ek khilqat ek bap par ye aisa bap hai bete ko maslub hone se bacha paya nahin na to aata hai na jata hai kahin is liye salana rukhsat bhi nahin milti use yun bhi budha ho chuka hai kaam us se le liye jaen to ek din boriyat ke bojh mein dab kar kahin mar jaega