us int ko bhul jaana chahiye jis ke niche hamare ghar ki chabi hai jo ek khwab mein tut gaya hamein bhul jaana chahiye us bose ko jo machhli ke kante ki tarah hamare gale mein phans gaya aur nahin nikalta us zard rang ko bhul jaana chahiye jo suraj-mukhi se alahida diya gaya jab hum apni dopahar ka bayan kar rahe the hamein bhul jaana chahiye us aadmi ko jo apne faqe par lohe ki chadaren bichhata hai us ladki ko bhul jaana chahiye jo waqt ko dawaon ki shishon mein band karti hai hamein bhul jaana chahiye us malbe se jis ka nam dil hai kisi ko zinda nikala ja sakta hai hamein kuchh lafzon ko bilkul bhul jaana chahiye maslan bani-nau-e-insan