log aurat ko faqat jism samajh lete hain ruh bhi hoti hai us mein ye kahan sochte hain ruh kya hoti hai is se unhen matlab hi nahin wo to bas tan ke taqazon ka kaha mante hain ruh mar jate hain to ye jism hai chalti hui lash is haqiqat ko na samajhte hain na pahchante hain kitni sadiyon se ye wahshat ka chalan jari hai kitni sadiyon se hai qaem ye gunahon ka riwaj log aurat ki har ek chikh ko naghma samjhe wo qabilon ka zamana ho ki shahron ka riwaj jabr se nasl badhe zulm se tan mel karen ye amal hum mein hai be-ilm parindon mein nahin hum jo insanon ki tahzib liye phirte hain hum sa wahshi koi jangal ke darindon mein nahin ek bujhi ruh lute jism ke dhanche mein liye sochti hun main kahan ja ke muqaddar phodun main na zinda hun ki marne ka sahaara dhundun aur na murda hun ki jine ke ghamon se chhutun kaun batlaega mujh ko kise ja kar puchhun zindagi qahr ke sanchon mein dhalegi kab tak kab talak aankh na kholega zamane ka zamir zulm aur jabr ki ye rit chalegi kab tak