ye shahr tamam andoh mein hai is raat sipahi gasht par aaya nahin tum ghar ja sakti ho aur shahr ke bahar jitne shahr hain sab ke sab andoh mein hain kal hafte ki tatil ka pahla din hoga wo ladki ghas pe baith ke likhti hai aur hansti hai ek tez hansi jo sat gharon ko chir gai wo ladki ghas pe baith ke likhti hai aur hansti hai in lafzon par jo us ne likhe in lafzon par jo is se pahle aane wale sab ne likhe in lafzon par jo is ke baad ke aane wale shayad is par likhenge wo hansti hai aur likhti hai aur hansti hai aur shahr tamam andoh mein hai koi patthar aan hataega is ghar ke bahar ek ghar hai tum ghar mein ja kar so rahte aur khwab ke liye dam kahe ko aane hain khwab to rath par aate hain aur tum ne rath-dewta ko khwab mein dal diya ab shahr aur khwab aur aankh ka rishta tut gaya ab dariya phailta jata hai aur koi kinara pas nahin aur dariya phailta jata hai aur dariya phailta jata hai aur dariya phailta jata hai