logon ka kumba

pure kumbe se nafrat ya pyar karo
ek se nafrat ek se pyar ye kya hai

log sabhi ek jaise hain
jahil hain to sab jahil hain aalim hain to sab ke sab

zulm kisi ek shakhs se to makhsus nahin hai
jis ko tum zalim kahte ho wo bhi

bachpan mein masum tha khushbu ki manind zarar se khali
aur jis ko widwan ho kahte us ka zehn

kal tak chatte kaghaz jaisa nirmal aur be-dagh tha
zalim ne us kumbe hi mein zulm ki shiksha pai

aur widwan ne bhi ye ulti sidhi baaten
logon hi se sun kar zehn mein bhar rakhi hain

ye logon ka kumba
ek mahan darakht hai hum sab patte hain

hare ya sukhe mithe hain ya kadwe
apna kya hai

ped ka ras hum sab mein yaksan jari-o-sari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close