main ne kai rang ke sae sunghe hain magar diwaron par kanda kiye phulon mein kabhi khushbu nahin mahki mohabbat ruh mein tab utarti hai jab ghamon ki ret aur aansuon se hum apne andar shikastagi tamir karte hain jis qadar bhi hans lo najat ka koi rasta nahin tum mohabbat ke gunahgar ho sau gham tumhaari haddiyon mein phaila hua hai apne amiq tajrabe se batao ek mohabbat mapne ke liye hamein dusri mohabbat kyun talashna padti hai main jama ho kar kam pad gaya hun kahin aisa to nahin irtiqa ki jald-bazi mein main ne do nafi jod liye hain