tumhein yaad hoga tum ne mujhe pichhle baras khat mein april bheja jo mujh tak pahunchte pahunchte august ho gaya lafz pile patton ki tarah farsh par bikhar gae december ki sard raaton mein main wadon ke aatish-dan par baithi jagti rahi meri ragon mein jama hua december aankhon se pighal kar bahta rahta hai is baras mujhe khat mein kuchh nahin bhejna kuchh bhi nahin shayad aziyyaton se bhari shakhon par kisi wade ki konpal phut pade mausamon ka kya hai kab badal jaen be-e'tibar lahjon ki tarah waqt sab kuchh ulat palat raha hai shayad tumhaare lautne tak bahut kuchh waisa na rahe jaisa tum chhod gae the lohe ke jabde mitti ke malbus ko tar-tar karte ja rahe hain pul jahan se tum park ke kinare khade dikhai dete the wo manzar metro bas ne nigal liya hai sumbul ke pedon ki jagah shopping mall le chuka hai aur han wo phulon wali dukan jahan se hum buke lete the wahan fast-food ban gaya dil ki jagah antadiyon ne le li hai kya kuchh aur kaise badal jata hai