munich mein aaj christmas hai sare manazir ne safed chadar odh rakhi hai kamre ki khidki se aati udasi chahaar-su phailti ja rahi hai andhera udasiyon ke nauhe padh raha hai mumtiyon se phisalta nahin koi kankar lamhe sakit ho gae hain almari ke khanon mein kuchh yaaden bikhri padi hain samne padi kursi jhul rahi hai sara mahaul sogwar hai ajib sa dar hai jo aansu ban kar utar raha hai aasman sat rang raushaniyan qahqahe saz naghmagi ye hujum sal-ha-sal ki masafat hai kenchuli badalne ka ehsas aankhon ki khamoshi se athah gahrai mein utar raha hai main abhi laut kar nahin aai dil ne barson se ru-e-alam ki khak chhani hai teri ankhon mein kahin wo zamane simat ke aa gae hain jab quetta airport se nam-naki ne tumhein rawana kiya raqs naghmagi chudiyon ki khanak ke niche hain bhaari hai in sab sazon se hath khali hain dil viran hai daera daera ye khamoshi daera daera ye tanhai jis mein qadim aasar mohan-jodado hadappa babil taxila ke jo mere andar lamha lamha utarte jate hain majid amjad main faslon ki kamand ki asir main teri shaalat rud-bar ke pul par badi der se khadi hun