ye rahguzar ye zan o mard ka hujum ye sham faraaz-e-koh se jis tarah naddiyan sar par liye hue shafaq-alud barf ke paikar safed jhil ki aaghosh mein simat jaen ye tund-gam subuk-sair karwan-e-hayat na ibtida ki khabar hai na intiha malum kidhar se aae kidhar ja rahe hain kya malum sunahri sham ye 'e-rose' jhilmilata hua bandha hua hai nishana khinchi hui hai kaman kise ye tir lagega kahan? yahan ki wahan! nazar nazar se mili dil ka kaam khatm hua sunahri sham ye 'erose' jagmagata hai koi hanse koi roe ye muskuraata hai isi maqam pe phir laut kar mein aaya hun ye rahguzar ye zan o mard ka hujum ye sham ye tund-sair subuk-gam karwan-e-hayat ye josh-e-rang ye tughyan-e-husn ke jalwe yahin ke nur se raushan meri nigahen hain mere shabab ki rondi hui ye rahen hain wahi maqam hai lekin wahi maqam nahin ye sham to hai magar wo sunahri sham nahin wo roab-dab nahin hai wo dhum-dham nahin wo main nahin hun ki un ka main ab ghulam nahin sanam-kadon mein ujale nahin rahe ki jo the ki ab wo dekhne wale nahin rahe ki jo the