hawa chali hawa chali ghane tawil jangalon ko nind se jaga chali ada-e-khamushi ko gudguda chali khizan ki zard sej se kisi ki yaad aankhen malti uth khadi charagh-e-dard le ke sard hath par bhatak ke pat pat par thaki thaki se raushni luta chali main ajnabi hun jis ke sar pe dhup ka kada sira gira hun rah bhul kar gae zamane ke muhib kund mein phansa pada hun panchhiyon pashuon ke pyase jhund mein ye bebasi to kha chali bisat-e-dil pe naqsha-e-shikast-dam bichha chali magar wo mand mand muskuraati maut bhar ke jam-e-zindagi mujhe na ab pilaegi ki aaj us ki yaad bhi chahaar samt duriyon ki tirgi saja chali har ek nishan mita chali hawa chali