udasi baat karti hai kisi anjaan boli mein sukun ka phul dil ke shakhchon se tod leti hai ye nindon ko utha leti hai aankhon ke katoron se kabhi khoi hui yaaden kahin se khoj lati hai bahut si an-kahi baaten kahin se gher lati hai hatheli par saja lati hai wo sukhe hue patte rachi hai jin ke reshon mein koi bhuli hui khushbu likhe hain jin pe guzre mausamon ke dil-nashin lamhe purane se purana qufl pal mein khol deti hai udasi ja utarti hai badan ke un jaziron par jinhen viran rakhna ho udasi timtimati hai lahu ke un ilaqon mein jinhen tarik rakhna ho