unchi pidhi par baithi bartawa karti chaukas aankhen ho ke jaisi bhuk se ladti roti todte hathon ko tahzib sikhati chuske leti jibhon ko ek had mein rakhti pyas bujhane ke aadab batati aankhen bachhon se bahti khwahish ko ponchhne wali nazron mein halkore lete lalach ko chimte mein bhar ke jalti aag mein jhonkne wali nanhe hathon se chipki chhina-jhapti ko mamta ke pani se dhone wali aankhen kis kajal ko pyari ho gain bachche mil kar khana-pina bhul gae hain