macha kohram kyun hai ghar badalne par abhi bhi halke kale shishe wali aankh par ainak laga kar halqa-e-yaran mein wo akasr chahal-qadmi ko aata hai sunata hai ghazal apni kabhi taron ki jhurmut mein kabhi raste mein shabnam ke kabhi khushbu lapete jism par dil-kash fazaon mein kabhi be-had chamakti dhup ke pipal ki chhanw mein zara sa chashm-e-baatin ko munawwar kar ke to dekho liye dariya ko hathon mein bahut shadan bahut farhan nazar aata hai masnad par ghazal ki wo