shafaq jab phul kar rang-e-hina thi aur hawa ke lab sile the ek budha ped bargad ka khada ganga-kinare dil-girafta khud se mahw-e-guftugu tha wo meri ek shakh ka patta mere hi jism ka hissa gira gir kar sitara ho gaya pani ka pyara ho gaya mujh se kinara ho gaya wahin sargoshiyon mein ek patinga gungunaya kan mein us ke nirasha tum mein kyun jagi mere baba? tumhaare ang ke kitne hi patte ab bhi gun gate tumhaara hain sahaara tum bano un ka tumhaara wo sahaara hain na ek patte ko ro baba!