sunaun main apni shujaat ka qissa dileri ka qissa himaqat ka qissa masahri pe leta jo sone ki khatir hua ek machchhar mere pas hazir mujhe filmi gane sunane laga wo meri nind ga kar udane laga wo kaha main ne machchhar miyan rahne do bas kahin aur gao mujhe sone do bas ye sun kar wo itna hua garm mujh par ki fauran hi chehre pe aaya jhapat kar mere gal pe us ne zoron se kata ki taklif se main bahut tilmilaya do-hatthad jo machchhar ke ghussa se mara pakad kar mere pair wo phir pukara nahin marna itna aasan mujh ko tera khun pi kar hi chhodunga tujh ko ye kah kar mere panw par kat khaya main ek bar phir dard se tilmilaya kai hath mare magar ware machchhar laga hansne kamre ka chakkar laga kar ghurur us ka mujh se na dekha gaya jab mera ghussa had se siwa ho gaya jab to main ne bhi chupke se hokey utha kar nazar apni machchhar ki jaanib utha kar ghuma kar zara main ne hokey jo mari hui jaan machchhar ki allah ko pyari