wo achanak chal diya goya safar tha mukhtasar zindagi-bhar jo safar karta raha chalta raha chhanw mein aflak ki palta raha dhalta raha pas jo punji ujalon ki thi sab kuchh bant kar rah ke be-maya zarron ko bana kar aaftab khud se la-parwa zamane ki nazar se be-niyaz zohd se fitri lagao dil mein tauqir-e-hijaz jaane kyun us ko pasand aai thi zindi ki naqab marhale tarik the aur manzilen tarik tar us ki nannhi raushni paiham rahi zulmat-shikan sarsar-e-be-eatidali se gurezan fikr-o-fan hosh mein tha ta-dam-e-akhir zamir-e-mo'atabar wo musafir tha adam ki rah mein gum ho gaya gham to is ka hai ki ek achchha sa insan kho gaya