main hasin hun magar is qadar bhi nahin mujh ko malum hai jaanti hun ki main tere alfaz ki sab hai jadugari tere alfaz ne aur junun ne tere apne sheron mein kar ke bayan mera husn dilkashi ko meri shairi ko meri ek pahchan di har zaban par mera tazkira hai magar mujh ko sach sach bata ai sukhnawar mere ai mere jadugar tere ashaar ne guftugu ne teri aur junun ne tere mujh ko pahchan di mera charcha kiya ya zamane mein bas mujh ko ruswa kiya