tum udas mat hona

gar kabhi koi lamha aisa zakhm de jae
ki koi bhi marham is zakhm ko na bhar pae

tum udas mat hona
mahw-e-yas mat hona

zindagi ke sab mausam ek se nahin hote
sare log ai hamdam ek se nahin hote

zindagi ki rahon mein hadse bhi aate hain
sanehe bhi aate hain

sanehon se kuchh badh kar waqiye bhi aate hain
waqt hi ke marham se zakhm bhar bhi jate hain

din bure hon ya achchhe bas guzar hi jate hain
waqt ko guzarna hai

zakhm ko bhi bharna hai
dard ke chadhe dariya

ko abhi utarna hai
tum udas mat hona

mahw-e-yas mat hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close