tumhaare nam tumhaare nishan se be-sarokar tumhaari yaad ke mausam guzarte jate hain bas ek manzar-e-be-hijr-o-visal hai jis mein hum apne aap hi kuchh rang bharte jate hain na wo nashat-e-tasawwur ki lo tum aa hi gae na zakhm-e-dil ki hai sozish koi jo sahni ho na koi wada-o-paiman ki sham hai na sahar na shauq ki hai koi dastan jo kahni ho nahin jo mahmil-e-laila-e-arzu sar-e-rah to ab faza mein faza ke siwa kuchh aur nahin nahin jo mauj-e-saba mein koi shamim-e-payam to ab saba mein saba ke siwa kuchh aur nahin utar de jo kinare pe hum ko kashti-e-wahm to gird-o-pesh ko girdab hi samajhte hain tumhaare rang mahakte hain khwab mein jab bhi to khwab mein bhi unhen khwab hi samajhte hain na koi zakhm na marham ki zindagi apni guzar rahi hai har ehsas ko ganwane mein magar ye zakhm ye marham bhi kam nahin shayad ki hum hain ek zamin par aur ek zamane mein