magarmachh ne mujhe nigla hua hai ek janin-e-na-tawan hun jis ghadi rakkhi gai buniyaad meri us ghadi se tirgi ke pet mein hun khun ki tarsil aanwal se ghiza jari hai kachchi aankh ke aage tani mauhum si jhilli hata kar dekhta hun! dekhta hun garm gahre les ke dariya mein kachhuon, meindakon jal-kekdon ke parachon mein ojhadi ke khurdure reshon mein salim hun nabud o bud ke tarik andeshon mein bahar kaun hai jo zat ke is khema-e-khakistari ke pet ke phule hue gadle ghubare par azal se kan rakh kar sun raha hai sar patakhne hath panw marne karwat badalne ki sada! pani ka gahra shor hai indar bhi bahar bhi barahna jism se chimte hue hain kai ke reze mujhe phir se janam dene ki khatir zachgi ke ek kalawe ne ugalne ke kisi wade ne sadiyon se mujhe jakda hua hai man magarmachh ne mujhe nigla hua hai!!