mah-o-sal

isi rawish pe hai qaim mizaj-e-dida-o-dil
lahu mein ab bhi tadapti hain bijliyan ki nahin
zamin pe ab bhi utarta hai aasman ki nahin?
kisi ke jaib-o-gareban ki aazmaish mein
kabhi khud apni qaba ka khayal aata hai
zara sa waswasa-e-mah-o-sal aata hai?
kabhi ye baat bhi sochi ki muntazir aankhen
ghubar-e-rahguzar mein ujad gai hongi
nazar se tut chuke honge khwab ke raste
wo mahtab si ninden bichhad gai hongi
niyaz-e-khwajgi o shan-e-sarwari kya hai
shiar-e-mushfiqi o tarz-e-dilbari kya hai
ye be-rukhi ye ada-e-sitam bhi puchhenge
hamari umr ke ho lo to hum bhi puchhenge
This is a great maa ki shan shayari. True lovers of qaim ali shah shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore sher shayari urdu main. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close