mahaul ki parchhaiyan

ye dhundalka ye bujhte diyon ka dhuan
phul se dil pe zakhmon ke gahre nishan

ye chaman ye bahaaron ka khuni kafan
wasl ki raat mein jaise bewa dulhan

aanchalon ki ye udti hui dhajjiyan
narm honton pe sukhi hui papdiyan

kab talak ye musibat ye ranj-o-mehan
kab talak tauq-o-zanjir-o-dar-o-rasan

nargisi aankh insan ki dhansti hui
halq mein har-nafas sans phansti hui

ham-nashinon utho maut ko tok do
zulm ke aahani hath ko rok do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close