sabz inqalab

ye badalte hue mausamon ka saman
jagmagati hui shokh pagdandiyan

lahlahati hui dhan ki baaliyan
gungunati hui nahr par chakkiyan

kar-khanon mein loha pighalta hua
aur khaliyan sona ugalta hua

ganw ko fakhr hai shahr ko naz hai
wo agar ek naghma to ye saz hai

is nai zindagi ka ye eajaz hai
desh bhar ki ye bharpur aawaz hai

apni dharti ko jannat-badaman karen
koh ko kat kar hum gulistan karen

khud-kifalat ke jazbe se mamur hain
khwab kya ab bhi tabir se dur hain

khud hi malik hain hum khud hi mazdur hain
hath masruf hain zehn masrur hain

kitni murda zaminon mein jaan phunk di
apni faslon mein tab-o-tawan phunk di

ye badalte hue manzaron ka saman
jagmagati hui shokh pagdandiyan

lahlahati hui dhan ki baaliyan
gungunati hui nahr par chakkiyan

kar-khanon mein loha pighalta hua
aur khaliyan sona ugalta hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close