ab sitaron mein jawani nahin raqsan koi chand ke nur mein naghmat ke sailab nahin dil mein baqi nahin umda hua tufan koi ruh ab husn uchak lene ko betab nahin ab farozan si nahin qaus-e-quzah ki rahen inhi rahon se ufuq par se ghum aate the muntazir ab nahin fitrat ki gulabi bahen hum jinhen ja ke shafaq-zar se chum aate the ab ghataon mein nahin hausle rindana se ab fazaon mein hain walwale diwana se ruh ehsas ki talkhi se bujhi jati hai aise mahaul ke zindan se riha kar mujh ko wahi pahle se hasin khwab ata kar mujh ko